• October 28, 2020

Zulf e sarkar se jab chehre nikalta hoga

Zulf-e-sarkar-se-jab-chehre-nikalta-hoga

Zulf e sarkar se jab chehre nikalta hoga
Phir bala kaise koi chand ko takta hoga

Maa haleema yeh bata tune to dekha hoga
Kaise mehboob mera tujhse lipattha hoga

Jab kabhi Aap andhere mein nikalte honge.
Shabb-e-tariqi mein khusheed chamakta hoga.

Kisko maloom nahin taiba se judaai ka assar
Ke shaam ko shams bhi rota hua dhaltha hoga

Kaabil e rashk hai siddique wo aansoo tera
Ghaar mein aap ke rukh par jo tapakta hoga

Aur haakim uss dil ko to bas tes na pohnchegi kabhi
Yaad e sarkar mein har pal jo dhadakta hoga

Raaz chanda ke haseen hone ka ab main samjha
Ke khaak e nalain ko chehre pe wo malta hoga

 

 

 

 

admin

Read Previous

Unki Mehek Ne Dil Ke Gunche Khila Diye Hain ان کی مہک نے دل کے غنچے کھلا دیے ہیں

Read Next

Naat-e-Sarkaar Ki Parta Hoon Mein

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *